Friday, December 09, 2005

O Maajhi Re...

O maajhi re...
O maajhi re...
Apna kinara ... nadiyaa ki dhaara hai
O maajhi re...

Saahilon pe bahnewale, khabi suna to hoga kahin,
Kaagazon ki kashtiyon ka kahin kinaara hota nahin,
O majhi re, maajhi re...
Koi kinaara jo kinaare se mile woh apna kinaara hai ,
O maajhi re...

Paaniyon mein bah rahe hain kai kinaare toote hue ,
Ho raaston mein mil gaye hain sabhi sahaare chhoote hue ,
Koi sahara majh-dhaare mein mile jo, apnaa sahaaraa hai...
O maajhi re apna kinaara nadiyan ki dhaaraa hai ,
O maajhi re...


~Gulzar

No comments: