Friday, December 23, 2005

Khwaab Bunein...

Aao ki koi khwaab bunein kal ke vaaste,
varnaa ye raat aaj ke sangeen daur ki,
das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil,
taa-umr phir na koi haseen khwaab bun sakein,

jo hum se bhaagti rahii ye tez-gaam umr,
khwaabon ke aasre pe katii hai tamaam umr,

zulfon ke khwaab, honthhon ke khwaab, aur badan ke khwaab ,
meraaj-e-fan ke khwaab, kamaal-e-sukhan ke khwaab,
tehziib-e-zindagii ke, farogh-e-vatan ke khwaab,
zindaan ke khwaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke khwaab,

ye khwaab hii to apnii javaanii ke paas thhe,
ye khwaab hii to apne amal ke asaas thhe,
ye khwaab mar gaye hain to be-rang hai hayaat,
yuun hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat,

aao ki koi khwaab bunein kal ke vaaste,
varnaa ye raat aaj ke sangeen daur ki,
das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil,
taa-umr phir na koi haseen khwaab bun sakein...


~Sahir

sangiin daur = hard/difficult times
taa-umr = entire life
tez-gaam = fleet-footed
meraaj-e-fan = (to reach) summit of art
kamaal-e-sukhan = perfection in poetry
tehziib-e-zindagii = civilized life
farogh-e-vatan = nation's progress/upliftment
zindaan = prison
kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows
amal = work
asaas = foundation
hayaat = life
dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)

No comments: