Wednesday, July 25, 2007

Nakhra

Zabaan ki Dyodhi par machli hui wo baat,
chaukhat ke paar,
aangan par ruki,
mujhe mud kar dekha,
aur tunak kar boli,
"jaao, main tumse nahin bolungi!"

~
maanu

Wednesday, July 11, 2007

Baat

Sehar sey raat ki sargoshian, bahar ki baat
Jahan mein aam huee chashm-e-intezaar ki baat

Dilon ki tishnagi jitnee, dilon ka gham jitna
Usee qadar hai zamaney mein husn-e-yaar ki baat

Jahan bhee baitthey hain, jis jaa bhee raat mai pee hai
Unhin ki aankhon key qissay, unhin key pyaar kee baat

Chaman ki aankh bhar aayee, kali ka dil dhadka,
labon pay ayee hai jab bhee kisee qaraar ki baat

Yeh zard zard ujaaley, yeh raat raat ka dard,
Yehi to reh gayee ab jaan-e-beqarar ki baat

Tamaam umr chali hai, tamaam umr chaley,
Ilahi khatam na ho yaar-e-ghamgusaar ki baat...

~Maqdoom

Sargoshian - whispers
chashm-e-intezaar - waiting in hope
Tishnagi- desire/thirst/longing
husn-e-yaar - beauty of the beloved
Qarar - residence/stability/rest/patience/satisfaction
Ghamgusaar - sympathizer