Thursday, October 20, 2005

Hasrat

Saalon se hai ik hasrat si,
jaaney kya hai ye ghaflat si,

ki tanhaayee mein bheeg jaayein palkein,
sondhe aansuon se ye samaa mehkey,

aur aaye "koi" is veeraane mein paas,
lagaa de in palkon par koi marham khaas,

de apni baahon ka bistar,
chun le is dil ke nashtar,

par, khud se hi shaayad ye guft-a-goo si hai,
chhoti sii yeh ik aarzoo si hai,

jaane kyon poori nahin hoti,
jo saalon se hai ye ik hasrat si,
jaaney kya hai ye ghaflat si ...

~maanu

3 comments:

Anonymous said...

good poem...same che same che same che -Sumit

Anonymous said...

Nice poem!
What made you write this?

maverick said...

@anon
the longing...