Friday, May 19, 2006

Yeh Faasle...

Ye faasle terii galiyon ke hamse tay na hue
hazaar baar ruke hum, hazaar baar chale

na jaane kaun sii mittii watan kii mittii thii
nazar mein dhool, zigar mein liye ghubaar chale

ye kaisi sarahadein uljhi hui hain pairon mein,
hum apne ghar ki taraf utthke baar baar chale,

na raastaa kahiin tthahraa na manzilein tthahriin,
ye umr udtii hui gard mein guzaar chale ...

~Gulzar

Muddatein hui, humne ek film dekhi thhi, "Mammo". Amit Phalke, Fareeda Jalal aur Surekha Seekri. Doordarshan par aayi thhi. Main yeh jaan kar bada khush hua thha ki us ladke ka bhi naam "Amit" hai. Un dinon Doordarshan par "Mammo" jaisi filmein dikhaayi jaati thhiin. Jaane kya baat thhi is film mein, zehan mein tthahar sii gayi, khaas kar ye nazm. Aur mazey kii baat ye bhi hai, ki yeh nazm us ek baar ke baad sunne ko naseeb nahin hui, lekin ab tak zabaan par chadhi hui hai. Goya, humnein koshish kaafi kii thhi, ki kahin se mil jaaye (aur koshish ab bhi jaari hai!).
Jaane kitni baar humnein khud ko yeh nazm gungunaate huey, yaa ek andekhe se background mein bajte huey paaya hai. Gaadi ki chhuk chhuk ke beech Chilka ki pursuqoon hawaaon mein, aur jab Janpath se liye huey khaadi ka kurta pahne aur angochcha liye (jo jaan-boojh kar pahna gaya thha ki main orissa ke aadivaasiyon ke beech koi ajoobaa na lagoon) Tamana aur Mohuda ke beech ka raasta tay kar raha thha aur har us baar bhi jab "ghar" ke mayane badle hain. Ab itne saal ho chuke hain ghar se door rahte hue ki, is baat ka yakeen nahin raha ki ghar ko mera intezaar hai bhi ya nahin? Woh bhi shayad ab tak mera intezaar nahin karna chahta, aur karey bhi kyon?? Main koi George pancham to hoon nahin!
Isi nazm par kisi se se pahli baar hui baat, lambi "baat-cheet" mein badal gayi thhi, college ki puraani library ke saamne. Library ke saamne aisi "filmi" mulakaat ke baad zaahir see baat hai dil ballion uchchlaa. Haanlaaki isse pahle ki dil uchchal kar baahar nikal aaye, humne bamushkil is par qaaboo kiya aur seedhiyon se utarate is baat par bhi gaur kiya ki aise vaakye aakhir library ke ird-gird hi kyon hote hain?
Aur har baar yeh nazm , atke hue sirey se zabaan par aa giri hai jab faasle tay karne mein khud ko bebas paaya hai, faasle jo bin bataye chupke se dabey paaon aa gaye. Aaj bhi yehi nazm background mein sunaai padti hai jab, raat ki suqoon mein, peeli roshani mein dhuli hui hyderabad ki sadkon par Ghar lautate hue, NIFT ki ladkiyon ko aur khud jaise gale mein apna apna "patta" daale huey logon ko dekhte huey guzartaa hoon. Ab bhi hawaa mere baalon se khelti hai, lekin yeh Chilka ki nahin Hyderabad ki shahri , dhuein waali, garm hawaa hai jisme suqoon to nahin lekin ek khilandadapan zaroor hai.
Jaane aise kitne lamhein bhi is nazm ki hi tarah kahin atke huey hain anjaane siron par, jo muddatein huin ek film mein suni thhi humnein.

8 comments:

Dawn said...

Wah...Gulzar ji ka jikr ho aur humei khabar na ho :) aisa kabhi hua hai bhala?...humne bhi apnii ek post Mammo ke liye dedicate ki thi..(http://fizaa.blogspot.com/2006_01_01_fizaa_archive.html)!! Amazing! aapka byora waqai bahut hee sahi chitran pesh kiya hai aapne...:)
Waise iss ghazal ki khoj humne bhi bahut ki aur nakamiyaab hee rahe lekin housla ab bhi hai :)

Cheers

Manish Kumar said...

pehli baat to ye batayein janab ki aapka naam Amit hai to hum wahi kah ke bulayein.
Bahut achchi lagi ye post tumhari. Zindagi ke dorahon pe beete huye kal ki kasak jab ghazal ke chand alfaazon mein simat jati hai to wo zehan ka hissa ban jati hai.

lutph aaya janab aapki batein padh ke. likhte rahein dil ki baat direct dil se :)

maverick said...

@Dawn
mohtaramaa, humein kab pata thha kii aap bhi gulzaar saab ki shaidaai hain?? zah-e-naseeb ki aap humaare blog par aaye aur humaari blog aapko pasand aayi!

@Manish
Haan janaab, naacheez ka naam "Amit" hi hai. My folks were suffering with the Big B syndrome when they named poor me :). Hum bilkul Dil kii baatein dil se hi likhenge, basharte aap yun hi hausla afzaai karte rahein. Hum muntazir rahenge.

silbil said...

dost...ab to baarish ka mausam hai...kuch aur share kijiye....inspiration to hai hi fiza mein....

Anonymous said...

best site

Anonymous said...

This song is present on this site

http://music.cooltoad.com/music/song.php?id=249714

maverick said...

anjaan dost, aapne humaari ek dil-i-tamanna poori kii hai . bahut bahut shukriya. Agar aap apna naam bhi batate to aur bhi lutf aata!

Anonymous said...

anjaan dost, aap mera bhi salaam kubul karen. main bhi bahut dino se is gaane ke talash me tha. Aaap ki badaulat ye aarzoo bhi poori huye. dhanyavaad