Wednesday, April 05, 2006

Aab-o-hawaa

Khumar-e-gham hai mehekti fizaa mein jeete hain,
Tere khayaal kii aab-o-hawa mein jeete hain,

Bade tapaak se milte hain milne wale mujhe,
Wo mere dost hain terii wafaa mein jeete hain,

Firaaq-e-yaad main saanson ko roke rakhte hain,
har ek lamha guzarti kazaa mein jeete hain,

Na baat poori hui thhi ki raat toot gayii,
adhoore khwaab kii aadhi sazaa mein jeete hain,

Tumhaari baaton main koi masihaa bastaa hai,
haseen labon se barasti shafaa main jeete hain...

~Gulzar

Two soggy eyes ... and an emptiness...

4 comments:

Manish Kumar said...

ghoomte ghamte aapke blog pe aa pahuncha!
Leela film ki ye ghazal meri chaheti hai!
Waise baki ki post dekhin achcha likh lete hain aap!

Kaunquest said...

Hum yahaan aaye Manish ke blog se. Glad to see another poetry lover. You have posted some gems here :)

Alapana said...

Manishji ke comment dekhte hi hum pehchaan gaye ki ek aur saathi hain yehaan jo ghazal aur kavitha ki duniya mein apne aapko dhaal letha hain,ek min ke liye aayi thi yehaan aur rehgayi 30min se jyada, Gulzar,Jagjith singh,Naruda......... List matches to mine:) will be here again.
Aur ek baath,Accha laga Ye dekh kar koi Hyderabad se hain:)

silbil said...

ummm just that soggy words goes better with parle G biscuits...yahan par to aap misty use karo....