Sehar sey raat ki sargoshian, bahar ki baat
Jahan mein aam huee chashm-e-intezaar ki baat
Dilon ki tishnagi jitnee, dilon ka gham jitna
Usee qadar hai zamaney mein husn-e-yaar ki baat
Jahan bhee baitthey hain, jis jaa bhee raat mai pee hai
Unhin ki aankhon key qissay, unhin key pyaar kee baat
Chaman ki aankh bhar aayee, kali ka dil dhadka,
labon pay ayee hai jab bhee kisee qaraar ki baat
Yeh zard zard ujaaley, yeh raat raat ka dard,
Yehi to reh gayee ab jaan-e-beqarar ki baat
Tamaam umr chali hai, tamaam umr chaley,
Ilahi khatam na ho yaar-e-ghamgusaar ki baat...
~Maqdoom
Sargoshian - whispers
chashm-e-intezaar - waiting in hope
Tishnagi- desire/thirst/longing
husn-e-yaar - beauty of the beloved
Qarar - residence/stability/rest/patience/satisfaction
Ghamgusaar - sympathizer
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
good collection dude!
Thanks Bro!
Post a Comment