Kisi ko deke dil koi nawaa-sanj-e-fughaan kyon ho,
na ho jab dil hi seene mein, to fir munh mein zubaan kyon ho?
Woh apni khuu na chhodenge, hum apni wazaa kyon badlein,
subak-sar ban ke kya poochhein, ke hum se sar-garaan kyon ho?
Kiya ghamkhwaar ne ruswaa, lage aag is mohabbat ko,
na laaye taab jo gham ki, woh mera raazdaan kyon ho?
Wafa kaisi, kahaan ka ishq, jab sar phodna thhahra,
to phir aye sangdil, teraa hi sang-e-aastaan kyon ho?
Qafas mein mujh se rudaad-e-chaman kahte na dar humdum,
giri hai jis pe bijli woh mera aashiyaan kyon ho?
Yeh fitnaa aadmi ki khaanaa-veeraani ko kya kam hai,
hue tum dost jiske, dushman uska aasmaan kyon ho?
Yehi hai aazmaanaa, to sataanaa kisko kehte hain,
udu ke ho liye jab tum, to mera imtihaan kyon ho?
Ghalat hai jazb-e-dil ka shikwaa, dekho jurm kiska hai,
na kheincho gar tum apne ko, kashaakash darmiyaan kyon ho?
Nikaalna chahta hai kaam kya taanon se tuu Ghalib,
tere be-mehar kahne se woh tujh par meharbaan kyon ho?
~Ghalib
------
Nawaa-sanj-e-fughaan : Lamentation of a singer
zubaan : toungue/speech
khuu : habit
wazaa : behaviour
subak-sar : light headed/ frivolous
sar-garaan : annoyed
ghamkhwaar : sympathizer
ruswa : dishonor
taab : patience , endurance, strength
raazdaan : confidant
sangdil : stone-hearted
sang-e-aastaan : limit
Qafas : cage, prison
rudaad-e-chaman : tales of heaven
aashiyaan : Nest, house
fitnaa : mischievous
khaanaa-veeraani : ruination
udu : rival-suitor
jazb-e-dil : attraction of the heart
shikwa : complaint
kashaakash : dilemma, contention
taanon : taunts
be-mehar : unkind
meherbaan : kind
------
Abhi pichchle hafte hii Kamleshwar ki "Kitne Pakistan" padhi, wahin is nazm kii kuchch line-ein bhi padhi. Aur jaisi ki kuchch line-on kii aadaat hoti hai ... aapke saath ho leti hain; yeh bhi ho liin humaare saath. Khair, ek lambe arse ke baad kuchch yahaan aakar likha hai aur is baat kii kaafi raahat hai ab. Dekhte hain is raahat se kab tak guzaaraa hota hai. :)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
3 comments:
Bai Ghalib ki ek achchi ghazal padhai so to theek hai par janab yahan salaana haziri hi deni hai to is ghar ko khula rakhne ki kya juroorat :p
Wah! yaar subah subah Chacha Ghalib ko parhkar maza aagaya :)
After a long time....
Thanks for notifying :)
keep up the good work...
Cheers
@Manish
Der se aane ki muaafi chaahte hain , lekin ghanimat se hum aaye zaroor hain ... durust.
@Dawn
I am glad you liked it. :)
Post a Comment